Lyrics Database

Huge lyrics collection

Hindi Lyrics

Lyrics: Bada natakhat hai
Film: Amar Prem
Music: R D Burman
Lyricist: Anand Bakshi
 
Bada natakhat hai re krishnkanhaiya
Ka kare yashoda maiya, han bada natakhat hai re

(dhundhe ri ankhiyan use charon or
Jane kahan chup gaya nandakishor ) 2
Ud gaya aise jaise puravaya
Ka kare yashoda maiya, han bada natakhat hai re

(a tohe mai gale se laga lun
Lage na kisi ki nazar man me chupa lun ) 2
Dhup jagat hai re mamata hai chainya
Ka kare yashoda maiya, han bada natakhat hai re

(mere jivan ka tu ek hi sapana
Jo koi dekhe tohe samajhe vo apana ) 2
Sab ka hai pyara, ho sab ka hai pyara bansibajaya
Ka kare yashoda maiya, han bada natakhat hai re

Tagged:

LEAVE A RESPONSE

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Related Posts