Lyrics Database

Huge lyrics collection

Hindi Lyrics

Lyrics: Brindavan ka krishn
Film: Miss Mary
Music: Hemant Kumar
Lyricist: Rajinder Krishan
 
Brindavan ka krishn kanhaiya
Sab ki ankhon ka tara
Man hi man kyon jale radhika
Mohan to hai sab ka pyara
Brindavan ka krishn kanhaiya

Jamana tat par nand ka lala
Jab jab ras rachaye re
Tan man dole kanha aisi
Bansi madhur bajaye re
Sudhbudh bhuli khadi gopiyan
Jane kaisa jadu dara
Brindavan ka krishn kanhaiya

Rang salona aisa jaise
Chai ho ghat savan ki
Ai ri main to hui divani
Manamohan man bhavan ki
Tere karan dekh banvare
Chod diya main ne jag sara
Brindavan ka krishn kanhaiya

Tagged:

LEAVE A RESPONSE

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Related Posts