Lyrics Database

Huge lyrics collection

Hindi Lyrics

Lyrics: Piya ki gali
Film: Parwaana
Music: Madan Mohan
Lyricist: Kaifi Azmi
 
Piya ki gali lage bhali
Roko na sakhi jiya bas men nahin
Kahan tu chali biraha jali
Dekhe na koi sakhi ja na kahin

Badariya ghir ghir aye
Bijuriya shor machaye
Main to jaungi, main to jaungi, main to jaungi
Sanvar ke bindiya laga ke
Na ja tu rup saja ke
Main to jaungi, main to jaungi, main to jaungi
Chup gaye tare rain dhalak gai
Suni rahi mori sajiya to kya hoga
Piya ki gali

Rat hai kari barakha parat hai
Bhige jo nainon ka kajara to kya hoga
Mast pavan hai chunari udat hai
Mahake jo phulon ka gajara to kya hoga
Chodo chodo chodo bahiyan raha na jaye
Dekho dekho dekho dekho piya bulaye
Kaise na jaun, kaise na jaun 2
Der se mori rah takat hai
Rutha jo banka sajana to kya hoga
Piya ki gali

Divani chup ho ja re
Piya ki dhun mat ga re
Main to gaungi, main to gaungi, main to gaungi
Jiya ko tu samajha re
Sunegi sab duniya re
Main to gaungi, main to gaungi, main to gaungi
Kahe tu toke kahe roke
Raha chaman mera pyasa to kya hoga
Piya ki gali

Tagged:

LEAVE A RESPONSE

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Related Posts